January 31, 2012

LYRICS OF MOTIVATIONAL SONGS.

(Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar



Kisika dard mil sake to le udhaar


Kisike waaste ho tere dil mein pyaar


Jeena issi ka naam hai) -2

(Maana apni jeb se fakeer hain

Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain) -2

Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi

Jale bahaar ke liye woh zindagi

Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar

Jeena issi kaa naam hai


(Rishta dil se dil ke aitbaar ka

Zinda hai hameen se naam pyaar ka) -2

Ke mar ke bhi kisi ko yaad aayenge

Kisi ke aansuon mein muskuraayenge

Kahega phool har kali se baar baar

Jeena issi kaa naam hai

Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar..

***********************************************************************

Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
Har fikar ko dhein mein udata chala gaya

Barbadiyon ka shok manana fizul tha-2
Barbadiyon ka jashan manata chala gaya-2

Har fikar ko dhein mein uda...

Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya-2
Jo kho gaya mein usko bhulata chala gaya

Har fikar ko dhein mein uda...

Gham aur khushi mein farq na mehsoos ho jahan-2
Main dil ko us muqaam pe laata chala gaya-2


Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
Har fikar ko dhein mein udata chala gaya...!!!

***************************************************************************************

zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam


woh phir nahin aate,

woh phir nahin aate

zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam

woh phir nahin aate,

phool khilte hain,

log milte hain

phool khilte hain,

log milte hain magar

patjhad main jo phool

murjha jate hain

woh baharon ke aane se khilte nahin

kuchh log ek roz jo bichad jate hain

woj hazaron ke aane se milte nahin

umr bhar chahe koi pukara kare unka naam

woh phir nahin aate,


aap roka hai

kya bharosa hai

aap roka hai kya bharosa hai suno

doston shak dosti ka dushman hai

apne dil me ise ghar babane na do

agar tadapna pade yaad me zindagi

rok lo roothkar unko jaane na do

baad me pyaar ke chahe bhejo hazaroon salaam

woh phir nahi aate

subaah aate hai

raat jaate hai

subaah aate hai

raat jaate hai yuhi

waqt chalta hi rehta hai rukta nahi

ek pal me ye aage nikal jaata hai

aadmi theek se dekh paata nahin

aur parde pe manzar badal jaata hai

ek baar chale jaate hai jo din raat subaah shaam

woh phir nahi aate
zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam

woh phir nahin aate,
*************************************************************************************

aadamee musaafir hai, aataa hai, jaataa hai


aate jaate raste me, yaade chhod jaataa hai



zonkaa hawaa kaa, paanee kaa relaa

mele mein rah jaaye jo akelaa

fir wo akelaa hee rah jaataa hai



kab chhodataa hai, ye rog jee ko

dil bhool jaataa hain jab kisee ko

Find More lyrics at www.sweetslyrics.com

wo bhoolakar bhee yaad aataa hai



kyaa saath laaye, kyaa tod aaye

raste mein hum kyaa kyaa chhod aaye

manjil pe jaa ke yaad aataa hai



jab dolatee hai, jeewan kee naiyyaa

koee to ban jaataa hain khiwayyaa

koee kinaare pe hee doob jaataa hai


No comments:

Post a Comment

All the postings of mine in this whole forum can be the same with anyone in the world of the internet. Am just doing a favor for our forum users to avoid searching everywhere. I am trying to give all interesting informations about Finance, Culture, Herbals, Ayurveda, phycology, Sales, Marketing, Communication, Mythology, Quotations, etc. Plz mail me your requirement - amit.knp@rediffmail.com

BRAND Archetypes through lens -Indian-Brands

There has been so much already written about brand archetypes and this is certainly not one more of those articles. In fact, this is rather ...