LYRICS OF MOTIVATIONAL SONGS.
(Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar Kisika dard mil sake to le udhaar Kisike waaste ho tere dil mein pyaar Jeena issi ka naam hai) -2 (Maana apni jeb se fakeer hain Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain) -2 Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi Jale bahaar ke liye woh zindagi Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar Jeena issi kaa naam hai (Rishta dil se dil ke aitbaar ka Zinda hai hameen se naam pyaar ka) -2 Ke mar ke bhi kisi ko yaad aayenge Kisi ke aansuon mein muskuraayenge Kahega phool har kali se baar baar Jeena issi kaa naam hai Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar.. *********************************************************************** Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya Har fikar ko dhein mein udata chala gaya Barbadiyon ka shok manana fizul tha-2 Barbadiyon ka jashan manata chala gaya-2 Har fikar ko dhein mein uda... Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya-2 Jo kho gaya mein usko bhulata chala gaya Har fikar ko dhein mein uda... G...